Create an Air of Mystery


Har Halat Mein Tawajjo Hasil Karo (Court Attention at All Costs)

P.T. Barnum 19th century ka ek mashhoor showman tha. Usne apne career ki shuruat ek circus ke malik ke assistant ke taur par ki thi, Aaron Turner ke saath. 1836 mein Annapolis, Maryland mein uske circus ki kai performances hoti thi. Opening day par, Barnum apna black suit pehen kar sheher mein ghoom raha tha. Kuch log usse follow karne lagte hain aur dheere dheere yeh log ek bheed mein badal jaate hain.

Unhi logon mein se ek aadmi Barnum ki taraf ungli uthakar kehta hai, "Yeh to K. Avery hai, wo murderer jisne bohot saare qatl kiye hain." Gusse mein aakar woh bheed Barnum ko maarne lagti hai, kuch log to uska suit bhi faad dete hain. Barnum bohot mehnat ke baad unhe samjhaata hai aur kehta hai, "Aap circus mein chalye, mere malik aapko meri identity de denge." Woh bheed Barnum ke saath circus tak pahuchti hai.

Jab wo log circus pahuchte hain, Turner khud hansi mein aata hai aur kehta hai, "Main toh bas mazaak kar raha tha." Bheed ke chali jaane ke baad, Turner usse batata hai, "Yeh afwa toh maine khud failayi thi ke tumhi K. Avery ho." Fata suit mein khada Barnum, jisne apni jaan jaan se bachayi thi, ko yeh mazaak bilkul pasand nahi aata aur gusse mein woh Turner se poochta hai, "Tujhe mazaak lagta hai? Isme meri jaan bhi ja sakti thi!" Turner usse samjhate hue kehta hai, "Pyaare Barnum, ek baat hamesha yaad rakhna, humein kamyabi ke liye sirf ek cheez chahiye hoti hai, badnaami."

Aur Turner bilkul sahi tha. Uske baad, har raat jo performances usne Annapolis mein di, unhein bohot badi bheed ne apna swagat kiya. Barnum ne chhoti umar mein ek aisi baat seekh li jo uski poori zindagi mein kaam aayi. Turner ne agar badnaami kaha, toh iska matlab sirf badnaami nahi, balki attention tha. Aur yeh rahega humara chhatha niyam: "Attention at all cost"

Har cheez dikhawa se aakhri hoti hai. Jo cheez dikhayi na de, woh na ke barabar hai. Apne aap ko kabhi bhi bheed mein kho na dena. Hamesha bheed se alag aur khaas rehne ki koshish karo.

Post a Comment

0 Comments